Kuch Beete Lamhe

|

Kuch Beete Lamhe Jab Laut Ke Aate Hain
Gam Ke Saaye Saath Me Laate Hain

Hum Jitna Bhi Chaahe Aaine Ke Saamne Mukuraana
Na Jaane Aansoon Kahan Se Aankhon Me Bhar Aate Hain

Apni Duniya Ko Aaj Bhi Khwaabon Se Sajaate Hain
Aankh Khulte Hi Yeh Sab Bhi Toot Jaate Hain

Jaante Hain Na Sach Hoga Ab Koi Sapna Humara
Phir Bhi Aankhon Me Woh Sunehre Sapne Sajaate Hain

Khal Rahi Hai Yeh Doori Sochte Hai Ab ‘Laut Aate Hain’
Ek Pal Bhi Na Tumhare Bina Hum Khushi Se Jee Paate Hain

Par Manjur Na Hoga Humara Milan Fir Se Is Zaalim Duniya Ko
Bas Yahi Soch Kar Fir “Chaahat” Ke Kadam Khud Hi Ruk Jaate Hain

Hum Jitna Bhi Chaahe Aaine Ke Saamne Muskuraana
Na Jaane Aansoon Kahan Se Aankhon Me Bhar Aate Hain


Ai Maut! Unhein Bhulaaye Zamaane Guzar Gaye
Aa Jaa Ki Zahar Khaaye Zamaane Guzar Gaye

Oh Jaane Vaale Aa Ki Tere Intazaar Mein
Raste Ko Ghar Banaaye Zamaane Guzar Gaye

Gam Hai Na Ab Khushi Hai Na Ummid Hai Na Yaas
Sab Se Najaat Paaye Zamaane Guzar Gaye

Kyaa Laayaq-E-Sitam Bhi Nahin Ab Main Doston
Patthar Bhi Ghar Mein Aaye Zamaane Guzar Gaye

Jaane Bahaar Phul Nahin Aadami Hun Main
Aa Jaa Ki Muskuraaye Zamaane Guzar Gaye

Kyaa Kyaa Tavaqqo’aat Thi Aahon Se Ai ‘Khumar’
Ye Tir Bhi Chalaaye Zamaane Guzar Gaye

0 comments: